waldain ke huqooq
Waldain dunya me sab se badi nemat hain. Maa na ho to dil ko dilasa dene wala koi nahi hota. Aur agar baap na ho to zindagi me koi achha mashwara dene wala nahi hota. Agar baap ka hath bete ke kandhe par ho to beta dunya ka sab se taqatwar insan hota hai.waldain ki dua se taqdeer badal jaati hai
![]() |
Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki sab gunahon ki saza qayamat me milegi lekin jis ne maa baap ki na farmani ki usko Allah paak dunya me hi saza de deta hai.
waldain ke huqooq
Ek baat ko achhi tarah se jaan lijiye, hadees sharif, me hai ki ,jo aulad apne maa baap ko muhabbat ki nigah se dekhe,Allah paak use maqbool haj ka sawab ata farmaye ga.Zara sochiye ke sirf muhabbat ki nigah se dekhne ka ye sawab hai to maa baap ki khidmat karne se kitna sawab milega.
![]() |
baap ki shan
Rasulallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah paak ki narazgi tumhare baap ki narazgi me hai,aur Allah paak ki razamandi tumhare baap ki razamandi me hai. is liye baap ko khush rakho to Allah khush hoga.
kuch achhi bate baap ki shan me
🌹Baap ek zimmedar driver hai jo ghar ki gadi ko apne khoon paseene se chalata hai.🌹
🌹Baap ek muqaddas muhafiz hai jo sare khandan ki nigrani karta hai.🌹
🌹Apne baap ke samne ooncha na bolo warna Allah tumko neeche gira dega.🌹
🌹Walid ki sakhti bardasht karo taki tum ba kamaal ban sako.🌹
Maa ki shan
Huzur Akram sallallahu alaihi wasallam ki khidmat me ek sahabi hazir hue aur farmaya,ki mai ne jihad par jane ka irada kar liya hai.aur Aap se mashwara karne ke liye hazir hua hoon. Huzur sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ,kya tumhari walida hain? sahabi ne arz kiya ,haan,meri walida hain. Aap sallallahu alaihi wasallam ne kaha ki tum apni maa ki khidmat karo kyunki jannat maa ke qadmo ke neeche hai.
maa ki khidmat ka inaam
1.Ek martaba Moosa alaihissalam ne Allah paak se pucha"Ae baari ta- aala jannat me mera padosi kon hoga? jawab mila ki ,wo ek qassab (qasai) hoga aur fala basti me rahta hai. Is liye Moosa alaihissalam us admi se mile aur kaha ki "tum mujhe apna mehman banana pasand karoge"? ta' ki mai ye jaan saku ki khuda ne tuhare kis kaam ki badaulat tumhe ye buland maqam ata kiya hai. Wo qassab Hazrat moosa ki bat sun kar unhe apne ghar le gaya. Moosa Alaihissalam ne dekha ki"us qassab ne apni kamzor maa ko palne se ya bistar se nikala aur apne haath se khana khilaya apni maa ki achhi tara se khidmat ki". Qassab ki maa ne bete ko dua di ."khuda tumhe Jannat me Moosa ka padosi banaye.
Hazrat Moosa Alaihissalam ko malum ho gaya ki qassab ko ye buland martaba maa ki dua ke tufail mila hai.
2.Hazrat owais qarni rahmatullahi alaih ke baare me to suna hi hoga ki maa ki khidmat karne ki wajha se saari zindagi Rasulallah Sallallahu alaihi wasallam ka deedar na kar sake. Jab ki ishqe nabi sallallahu alaihi wasallam unke dil me koot koot kar bhara tha. Ek martaba shauk e deedar me Huzur se mulaqat ke liye hazir bhi huwe lekin Huzur se mulaqat na ho saki. Maa ka khayal aaya to wapas chale gae. Maa ki khidmat, Allah aur uske habib se muhabbat ke alawa koi kaam na tha. Jangal bayaban me Allah Allah karte rahte the ,dunyadari se koi matlab na tha. Huzur s.a.w. ne apna jubba mubarak hazrat owais qarni ko dene ki wasiyat ki thi.
3.Hazrat makhdum shah baba mahim, mumbai, India me bahut famous hasti hain. maa ki khidmat guzari ka ye inaam mila ke makhdum ka khitab hi mil gaya.
kuch achhi batein maa ki shaan me
🌹Maa aisi hasti hai jo apne liye dua karna bhool jae lekin apne bachhon ke liye dua karna nahi bhoolti.🌹
waldain ke huqooq ada karo warna saari dunya jeet kar bhi haar jaoge. Dunya me maa baap ke pyar se achhi koi daulat nahi hoti.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji