hadees sharif
Assalamualaikum
Hamare pyare Aaqa Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki zaban mubarak se nikle hue alfaz aur aap s.a.w. ki batai hui baton ko hadees kahte hain. Aap s.a.w ki ek hadees sharif, hai ki "ilm hasil karo chahe cheen jana pade"
Huzur s.a.w. ke is farman ke mutabik pahle ke zamane me safar karna bahut mushkil kaam tha .Aaj insan itni tarakki kar chuka hai ki china to door ki baat insan chand (moon) par pahunch chuka hai us zamane me na train thi na plane na bus thi na car,aur na hi koi electrical sawari jis ki madad se log kahi safar kar sakein .Ek mulk(country) se dusre mulk jane ke liye mahino tak safar kiya jata tha.Aaj insan 2 /4 ghante me china jaa sakta hai.1400 saal pahle cheen jana bahut mushkil kaam tha.
Ek hisab se mano to cheen jana chand par jane ke barabar hi tha.lekin ilm hasil karna itna zaruri hai ki,sarkar ne ye hadees farmaya ki"ilm hasil karo chahe cheen jana pade."
hadees sharif
Hum yaha aapke deeni malumat me azafe ke liye kuch hadees sharif pesh kar rahe hain. ho sake to yaad kar lein kyunki Jis shakhs ko 40 hadees shareef yaad ho uska shumar aalimon me hota hai.Aur ilm hi aisi cheez hai jitna banta jaae utna hi badhta jaata hai.
Waise to aap ko internet par ,alag alag website mil jaengi jahan se aap Islamic hadees images in Hindi free download kar sakte hain.
Nabi kareem sallallahu alahi wasallam ki ahadees ko sun kar aur un par amal kar ke hum apni zindagi ko khubsurat bana sakte hain. Rozana status ke liye Hadees Quotes Images ka istemal bhi kiya ja sakta hai.
Ab hum aapke liye 40 hadees shareef pesh karne ki koshish karenge.
1.Hazrat Jabir R. A. se riwayat hai ki Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya,"Ae logon!Allah ki na- farmani se dartey rahna,aur rozi ki Talaash me galat tarika na ikhtiyar karna. Isliye ki koi shaks us waqt tak nahi mar sakta,jab tak ki usey pura rizq na mil jae. Agarche uske milne me kuch takhir ho sakti hai. Isliye Allah se dartey rahna aur rozi ki talash me achha tarika ikhtiyar karna. Halal rozi hasil karo haram rozi ke qareeb na jao."
(Ibne maaja)
ye bhi padhen कर्ज से निजात/karz se nijat ki dua
Irshadat e Rasul sallallahu alaihi wasallam
2.Hazrat Abu Hurairah R. A. Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam se riwayat kartey hain ki "behtareen kamai mazduri ki kamai hai lekin apne malik ka kaam khair khwahi aur khuloos se anjam de"
(Masnad Ahmad)
3.Hazrat Aesha R. A. farmati hain ki Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya"Agar biwi apne shohar ke maai me se kuch kharch kare aur uski niyat apne shohar(husband) ki punji barbad karne ki na ho toh usey kharch karne ka sawab milega.
(sahih bukhari)
4.Rasul Allah s.a.w.ne farmaya,"rizq insan ko aise talash karta hai jaise waqt pura hone ke baad maut insan ko talash karti hai.
(Abu naeem)
5...3 shakhs aise honge ki unki aankhen jahannum ko na dekhengi,..1)ek wo aankh jis ne Allah ki raah me pahra diya....2).dusri wo aankh jo mashiyat e ilahi se ashk bar hui...3)..aur teesri wo aankh jis ne Allah ki haraam karda chizon ko dekhne se ruk gai.
Chhoti chhoti hadees sharif in hindi
6,..Achhi baat karna neki hai.
7...Saaf suthre raho,kyunki islaam saaf suthra mazhab hai.
8...Maa ke qadmo ke neeche jannat hai.
9...Baap janna ke darwazon me se beech (middle) ka darwaza hai.
10..Jo badon ki izzat nahi karta, wo hum me se nahi hai.
11..Ilm(education) ka hasil karna, har musalman mard aur aurat par farz hai.
12..Jis ne bad zubani ki usne jurm kiya.
13..Jo log dusron par raham nahi karte, khuda un par raham nahi karta.
14..Maaf karna badi daulat hai.
15..Jo Allah paak ki raza ke liye aajezy ikhtiyar karta hai,Allah paak usko buland maqam ata karte hain.
16..Zyada hansi dil ko murda kar deti hai.
17..Sach baat kaho,chahe wo kadwi hi kyun na ho.
18..Jhoot bolne se rizq (kamai/earning)me kami hoti hai.
19..Baat karne se pahle salaam kiya karo.
20..Paaki aadha imaan hai.
21..Wazu namaz ki kunji hai.
22..Namaz deen ka satun hai.
23..Quran sharif ki tilawat behtreen ibadat hai.
24..Paani dekh kar piya karo.
25..Geebat karna qatl karne se bada gunah hai.
26..Sabr karne wale bande ke saath Allah ki madad hoti hai.
27..makhfi (sab se chupa kar) tarike se sadqa karna,Allah ke gazab (gussa) ko thanda karta hai.
28..Jo tum se ta'alluk tode ,tum usey jodo.
29..Jo tumhe mahrum kare, tum usey ataa karo.
30..Jis aurat ka inteqal is haal me ho ki,uska shohar usse razi hai, to wo aurat zarur jannat me dakhil hogi.
31..Jab Allah paak kisi bande se muhabbat karte hain to usey narm mizaj wala bana dete hain.
32..Dusron ke baare me achha guman rakhna,behtreen ibadat hai.
33..Jo momin lagatar bimar rahe usko bakhsh diya jata hai.
34..Jis ghar me Allah ka zikr kiya jae,aur jis ghar me Allah ka zikr na kiya jae,unki misaal zinda aur murda ke jaisi hai.
35..Paak daman aurat par ilzam lagana,100 saal ki ibadat ko zaaya kar deta hai.
36..Musalmaan mard ke paas islam ke baad sab se qeemti cheez uski biwi hai.
37..Mahman apna rizq lekar aata hai,aur sahab e khana(ghar wale) ke gunah lekar jaata hai.
38..Jo gurur karta hai Allah paak usko gira dete hain.
39..Baap ki dua aulad ke liye aisi hai, jaise Nabi ki dua ummat ke liye.
hadees sharif
40..Allah uske chehre ko roshan kare, jo ahadees sun kar aage pahunchae
Allah paak usey jazae khair ata kare jo hadees sharif par amal kare aur apni zindagi ko khubsurat banae.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji