Jumma mubarak

jumma ka din जुम्मे का दिन 

Jumma+mubarak+fazeelat
Jumma mubarak

Allah paak ki ata ki hui nemat

Pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ke pyare diwano,

Allah rabbul izzat ne hamko bahut si nemat ata farmai hai. jaan ki shakl me maal ki shakl me, zameen aasmaan ki shakl me, hawa paani ped paude pahad ki shakl me, maa baap bhai bahen ki shakl me, ye sab nemate Allah paak ne hame ata farmai hai.uski neamaton ko hum gin nahi sakte. agar hum apne aap ko hi dekhen apne wajood ko hi dekhen to andaza lagaen ki aankh, naak, kaan, munh, haath, pair dil, (heart) dimag (mind)  ye sab Allah ki ata ki hui neamaten hain.aisi nemate Allah ke alawa koi de nahi sakta.

Jumma mubarak

Jumma ke din ki fazilat/जुम्मे के दिन की फजीलत

Jumma mubarak
Jumma Mubarak


In sabhi nematon me se ek nemat Allah paak ne hame yaum e jumma friday prayer ata kiya hai.jumma ka din saare dino ka sardar hai.is din ki rahmaton ka kya kahna. ki Aaqae kareem raufurraheem alaihi salto tasleem ne irshad farmaya ki hazrat Aadam alaihissalam ko jumma ke din paida kiya gaya aur Jannat me bhi jumma ke hi din dakhil kiya gaya. Aur jab zameen par Aadam alaihissalam ko utara gaya wo din bhi jumma ka hi din tha. aadam ka wisaal bhi jumma ke din hi hua.aur qayamat bhi jab qayam hogi wo din bhi jumma ka din hi hoga.

Itni azmat wala aur itni barkat wala ye din hai ki huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki jumma ke din agar kisi ka inteqal ho jae to qabr ke hisab se bhi bach jata hai.Allah usey shahadat ka darja ata farmata hai aur jannat ka bhi haqdar banata hai Quran shareef me ek puri surah jumma ke naam se hi nazil hui hai..isse aap andaza lagaein ki jumma ki kitni ahmiyat hogi.

Kuch batein  hadees sharif, ki rosni me jaan lijiye. Jumma ke din hi jannat me Allah ka deedar ho ga. ye itna mubarak din hai ki is din jahannum ka darwaza khola nahi jata aur na hi jahannum ko bhadkaya jata hai. Is din naya kapda pahanna mustahab hai. is din nikah karna bhi mustahab hai. 

Jumma mubarak
jumma mubarak



Wazaef

Jumma ke din darood sharif padhne ka faeda.

Huzur sallallahu alaihi wasallam ne famaya ki jumma ke din mujh par kasrat se darood sharif padha karo.kyunki tumhara darood meri bargah me pahunchaya jaata hai.Aur kuch riwayaton me hai ki jo shakhs 80 baar darood sharif jumma ke din padhta hai uske 80 saal ke gunah maaf kar diye jate hain.


Huzur sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke jumma ke din ek sa'at (time) aisi aati hai ki Allah us sa'at me dua ko qabul karta hai kuch riwayat me hai ki imaam ka mimber par bathne se lekar namaz khtm hone tak ye sa'at hoti hai jis me dua ki qabuliyat hoti hai.kuch riwayat me hai ki asar ke waqt se lekar gurub e aaftab (sun set) tak ye waqt hota hai. jis me dua qabul hoti hai.

aur khatun e jannat hazrat fatima zahra radiallahu anha ki ye aadat thi ki apni khadima(made) ko kahti thin ki agar mai asar aur magrib ke darmiyan kisi kaam me masruf (busy) rahun to mujhe yaad dila dena taki mai Allah ki bargah me dua me masruf ho jaun.


Jumma ka din bahut azmat (great) wala din hai bahut fazeelat wala din hai. Is din achhi tarah gusl( bath) karne ki bahut fazeelat hai is din khushbu lagana bhi fazeelat hai is din sadqe khairat bhi karna bada fazeelat ka baes hai is din bimar ki ayadat karna bhi fazilat hai. balki ye din aisa hai ki agar kisi ki dua qabul nahi hoti aur uske maa baap me se koi mar chuke ho aur wo aadmi apne maa ya baap ke qabr par jae aur unke waseele se dua kare to Allah uski dua ko bhi jumma ke din qabul karta hai.


Jumma ke din "surah kahaf" padhne ka faeda.

Jumma ke din "surah kahaf "padhne ke teen inamat .jisne surah kahaf ki tilawat jumma ke din ki agle jumma tak usey Allah paak roshni ata kar deta hai .uski soch me roshni uski fikr me roshni.8 din tak uski zindagi me ujala hi ujala rahta hai.Dusra inaam ye hai ki 10 din ke gunah maaf kar diye jate hain. Aur teesra inaam ye hai ki agar dajjal bhi aajae to "surah kahaf "padhne wala uske fitne se mahfuz rahega.


Surah jumma ki fazeelat/सूरह जुमा की फजीलत

Jo momin jumma ke din 11 baar "surah jumma" padhta hai usey bahut sawab milta hai. Allah paak us se raazi hokar uske namae aamal me 10 guna nekiyon ka azafa kar deta hai.🌹

Agar miyan biwi me na ittefaqi rahti hai,ladai zhagda hota hai ,to 3 baar surah jumma  padh kar pani par dam kar ke dono ko pilane se inshaAllah na ittefaqi door ho jaegi .Aur ek dusre me muhabbat paida ho jaegi. Amal 7 din lagatar kiya jae.🌹

Rizq ki tarakki ke liye 41 din tak tahajjud ki namaz ke baad 3 baar "surah jumma" padhen.InshaAllah band kaam shuru ho jaega.rizq ke husul me aasani hogi.🌹 

Waqt ka paband hone ke liye 40 din tak baad namaz asar rozana "surah jumma" padhen.InshAllah waqt ke aur namaz ke bhi paband ho jaaenge. 🌹

Allah qarib hota hai, bas hum door chale jate hain. kaash!zindagi me aisa din bhi ae ki samne hara gumbad ho, Jumma mubarak ho,mera sar sajde me ho.🌹

मिलादुन्नबी صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ‎