hazrat ali quotes
kon the Hazrat Ali
Amirul momineen khalifatul muslemin Nabi paak sallallahu alahi wasallam ke 4th khalifa Hazrat sayyadna Ali ul Murtaza radiallahu anhu, kaaba ke andar paida huwe aur kufe ki masjid me shahid huwe. Aap ka pura naam " Ali bin Abu Talib tha. Aap ki maa ka naam Fatima bint Asad tha. Hazra Ali, hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke chacha zad bhai the. Aur Hazrat fatima radiallahu anha se shadi kar ke huzur s.a.w.ke damad bhi bane. bachhon me sab se pahle hazrat Ali r.a.ne islam qabool kiya. jab hazrat Ali ne islam qabool kiya us waqt unki umr (age) sirf 10 saal thi aur pahle din se hi apna sab kuch islam par qurban karne ka irada kar liya tha. Hazrat Ali r.a. wo hasti hain jin ke bare me huzur s.a.w ne farmaya, "jis ne Ali se muhabbat ki usne mujh se muhabbat ki. aur jis ne Ali se bugz rakha usne mujh se bugz rakha aur farmaya ki Ali ka bugz nifaq (munafiq hone ki nishani) hai,aur Ali ki muhabbat iman hai.Aur farmaya ki"mai ilm ka shaher hoon aur Ali us shaher ka darwaza'.is ka matlab ye hai ki,agar kisi ko shaher me dakhil hona hai to pahle us shaher ke darwaze se aana padega.yaani jis ko huzur tak pahunchna ho wo pahle Ali tak pahunch jae.
hazrat ali quotes
हजरत अली की हदीस/Hazrat Ali Hadees quotes about life
![]() |
Hazrat Ali quotes about life |
jis se muhabbat ki jati hai,usse muqabla nahi kiya jaata,
kisi ko pa lena muhabbat nahi, balki kisi ke dil me jagha bana lena muhabbat hai.
jis se jyada muhabbat ho usi se jyada nafrat bhi ho sakti hai,kyunki khubsurat sheesha jab tut jata hai to khatarnak hathiyar ban jaata hai.
hamesha apni choti choti galtiyon se bachne ki koshish karo,kyunki insan pahadon se nahi balki pattharon se thokar khata hai.
kabhi tum dusron ke liye dua mang kar dekho, tumhe apne liye mangne ki zarurat nahi padegi.
namaz ki fikr apne upar farz kar lo,khuda ki kasam dunya ki fikr se azad ho jao ge. aur kamyabi tumhare qadam chume gi.
agar koi tum se hasad karta hai (jalta hai) to gussa karne ki bajae uski jalan ki qadar karo kyunki yahi wo log hain jo tumhe khud se behtar samajhte hain.
insaniyat bahut bada khazana hai, usey libas me nahi insan me talash karo.
tauba rooh ka gusl hai, jitni baar tauba ki jae rooh me nikhar paida hota hai.
hazrat ali quotes
hazrat ali quotes, insaan ki sari pareshaniyan uski 2 baaton ki wazha se hain,taqdeer se zyada aur waqt se pahle chahna.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji