sabr aur shukr/quotes
Sabar Quotes in hindi
![]() |
sabr aur shukr |
sabr aur shukr
1.sabr
![]() |
sabr,deep words |
1.Islami quotes
sabr( patience)kyunki
1.sabr karna naseeb walon ke hisse me aata hai.
2.kya pata allah Ta,aala ko tumhara sabr karna itna pasand aajaye ki tumhari mangi hui har dua par "KUN" kah de.
3.zaroori nahi ke koi baddua ya kisi ki aah tumhara peecha kare ,ya tumhe lag jae .kabhi kabhi kisi ka sabr bhi tumhari khushyo me rukawat ban sakta hai.
4.sabr karna seekh lo.kyunki Allah ta,aala sab janne wala hai.wo janta hai ke aap kab kaise waqt se guzre hain.yakeen karo waqt badal jae ga.kyunki tabdeeli kaenat ka nizam hai.
5.sabr karne wala kamyabi se mahroom nahi rahta,chahe use lamba intezar hi kyun na karna pade.
6.sabr aur waqt ka gahra rishta hai.sabr waqt mangta hai aur waqt sabr mangta hai.
7.sabr ek aisi sawari hai jo apne sawar ko kabhi girne nahi deti.na kisi ke qadmon me ,na kisi ki nazron me.
8.khwahishen badshahon ko gulam bana deti hain,lekin...sabr gulamon ko badshah bana deta hai.
9.sabr karne aur sabr aajane me bahut farq hota hai.sabr wo hota hai jo sadme ke shuru me kiya jae ,dukh hone ke ba wajud chup rah kar allah par bharosa kar ke khush raha jae.
10.kabhi kabhi achhi cheezen kho jaati hain,taki tumhen aur jyada behtar cheez mil sake.aese waqt me sabr karna chahiye aur allah ka shukr guzaar hona chahiye.
sabr aur shukr
![]() |
sabr,shukr,khamoshi |
Hazrat Abu Hurairah se riwayat hai ki,Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam tashreef farma they,ek shakhs ne Hazrat Abu bakr Siddiq ko bura bhala kahna shuru kar diya,aur lagatar bura bhala kahta raha Abu bakr r.a.sabr karte rahe aur khamosh rahe.huzur sallallahu alaihi wasallam ko Abu bakr ka chup rahna pasand aaya.unke khamosh rahne aur sabr karne par Aap sallallahu alaihi wasallam khush hote rahe .
Lekin us shakhs ne bahut zyada hi bura bhala kah diya to Abu bakr se bardasht na ho saka aur aap ne us shakhs ki kuch baton ka jawab de diya. Is par Huzur naraz ho kar wahan se chale gae. Hazrat Abu bakr siddiq Aap ke peech peeche gae aur arz kiya,ya rasulallah, jab tak wo shakhs mujhe bura bhala kahta raha Aap baithe rahe aur jab mai ne usko jawab diya Aap naraz ho kar chal diye. Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki,jab tak tum khamosh the aur halat e sabr me the,tumhare sath ek farishta tha jo tumhari taraf se jawab de raha tha.fir jab tum ne uski kuch baton ka jawab diya to wo farishta chala gaya.aur shaitan aagaya Aur jis jagah shaitan ho wahan mai nahi rahta.
(Ahmad bin hambal....almasnad)
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji