hazrat ali quotes
Ali ka ishq muqaddar sanwaar deta hai
Ali ka bugz to chehra bigaad deta hai.
Ali ke zikr ko adna na samjh ae munkir,
Ali wo hai, jo ek haath se khaibar ukhad deta hai.
zindagi jeene ke sirf do hi raste hain.
1..bhool jao unko,jinhen maaf nahi kar sakte.2..maaf kar do unko,jinhen bhool nahi sakte.
Hazrat Ali Quotes Hindi
3.kainat ki sab se mahngi cheez ahsas hai jo dunya ke har insaan ke paas nahi hota.
4.jis darakht ki lakdi narm hogi uski shakhen zyada hongi,bus narm tabiyat aur narm guftar ban jao,ta-ki tumhare chahne wale zyada ho.
Hazrat Ali Quotes Hindi
5. adab hasil karna sona jama karne se bahtar hai.apne bachhon ko adab sikha kar unhe faeda pahunchao.
6.apna sar ooncha rakho,kyunki tum kisi se nahi darte.lekin apni nigah neeche rakho ta ki maloom ho jae ki tum izzatdar gharane se ta,alluk rakhte ho.
7.zindagi ki asal khubsurti ye nahi ki aap kitne khush hain,bal'ki zindagi ki asal khubsurti to ye hai ki log aap se kitna khush hain.
8.logon ke dar se haq baat kahne se na ruko,kyunki Allah ke siwa na koi maut ko qareeb la sakta hai, na rizq se door kar sakta hai.
is post me hum ne kuch hazrat Ali ki batai hui hadees sharif post ki hain , hazrat ali quote hindi me jo malumat hai usey aage badhane ki koshish ki hai.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji