darood sharif


Assalamualaikum
darood+sharif

darood sharif


Allah paak quran e majid me farmata hai.

اِنَّ اللہَ وَمَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسْلِیۡمًا ﴿۵۶
Tarjuma.
Be shak Allah paak aur uske farishte nabi sallallahu alaihi wasallam par durood bhejte hain .ae iman walon tum bhi khoob durood bhejo aur khoob salaam   padha karo. 

 Ae iman walo tum is azeem aur izzat wale nabi par khub durood bhejo aur khub salam bhi padha karo.ye hukm hamko diya gaya.durood shareef padhna ALLAH paak ka amal hai ,farishton ka amal hai,aur hum gulamon ko bhi hukm diya ja raha hai.durood ek aisa wazifa hai jo kisi bhi surat me radd nahi kiya jata.


hazrat umar radiallahu anhu ne byan farmaya ki, dua ko durood ke saath jod lo.durood ko qubool hona hi hona hai dua bhi qubool hogi.kyunki Allah paak durood ke saath dua bhi qubool karega.


zindagi me ek baar durood padhna farz hai.aur jab huzur ka naam paak liya jae to durood padhna wajib hai.ye aisa amal hai jis ko jitna zyada kiya jae utna zyada faeda hai

darood sharif
durood e pak
darood e paak


Hazrat Abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Rasulallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya"jo mujh par ek martaba durood padhta hai,Allah us par 10 rahmatein nazil farmata hai.10 darje buland kar deta ha aur us bande ke 10 gunah maaf kar diye jaate hain.aur jo 10 martaba durood padhta hai Allah us par 100 rahmaton ka nazul farmata hai.aur jo banda 100 martaba durood padhta hai uski dono ankhon ke darmiyan likh diya jata hai ki ye banda munafiq aur dozakhi nahi hai aur Allah pak qayamat ke din jis darje par shaheedon ko rakhe ga wahi darja durood padhne walon ko bhi milega.ye sawab hai us shakhs ke liye jo huzur paak par kasrat ke saath durood shareef padhe.

 Darood pak ki fazilat


darood+sharif+ki+fazilat
darood ki barkat aur fazilat

Ek martaba huzur paak s.w sahaba ke saath jihad par gae the.khana khane ka waqt hua.kuch khajur aur kuch rotiyan thi.sahaba ne arz kiya ki ya rasulallah s.a.w roti to hai lekin salan nahi ha.usi waqt ek shahad ki makhhi bhinbhinati hui aayi aur huzur s.w .ke kaan ke paas bhinbhinane lagi. sababa nu kaha ye makhhi kyun shor macha rahi hai .huzur ne irshad farmaya ye shahad ki makhhi kah rahi hai ki,hum bekarar hain ki sahaba ke paas khane ko  salan nahi hai .jabki yahin par ham ne shahed ka chhatta lagaya hua hai lekin hum makhhiyan uthakar la nahi sakti. huzur ne hazrat Ali se kaha ki is makhhi ke sath jao aur shahed nikal lao. shahed ki makhhi aage aage jaati hai hazrat Ali peeche peeche chal rahe hain.makhhi apne chatte ke paas pahunch jaati hai aur sab makkhiyon se kahti hai.ae makkhiyon peeche hat jao gulam e rasool s.w shahed lene aae hain.sab makkhi peeche hat gai aur hazrat Ali  ne shahed le liya.


Darood pak ki fazilat

Shahed lekar huzur ki khidmat me hazir hue.makhhi bhi sath me aagai.ab pyare aaqa us makkhi se baat kar rahe hain.sahaba hairan hain huzur sawal karte aur makhhi jawab deti .makhhi ke jaane ke baad sahaba ne huzur s.w se pucha ki kya guftugu ho rahi thi.huzur s.w ne sahaba se kaha ,mai ne makhhi se pucha ki ,tum phulon ka ras chusti ho ,wo to kadwa hota hai lekin tumhara shahed meetha kyun hota hai.to makhhi ne jawab diya ki ya Rasul Allah ham jo phulon ka ras chuste hain wo to kadwa hota hai lekin ham durood shareef padhte rahte hain is liye wo kadwa ras durood shareef ki barkat se meetha ho jaata hai.
  nabi paak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ,
mere paas Jibraeel,Mikaeel,Israfeel aur azraeel alaihissalam aae .JibraeeL(ye Allah paak ke 4 khaas farishte hain).Jibraeel alaihissalam ne arz kiya,ya rasulallah s.a.w
jis ne aap par 10 martaba durood shareef padha,mai uska haath pakad kar pul siraat se guzaar dunga.Mikaeel alaihissalam ne arz kiya,mai aapke Hauz e kausar se jaam bhar bhar ke pilaunga.aur Israfeel alaihissalam ne kaha ki,mai Allah paak ki bargah me sazda rez ho jaunga aur tab tak apna sar sajde se nahi uthaunga jabtak Allah 10 martaba durood shareef padhne wale bande ke gunah maaf nahi karega.Aur Azraeel alaihissalam ne arz kiya ki,mai us bande ki rooh is tarah aasani se kabz karunga,jis tarah Ambiyaa alaihissalam   ki rooh kabz karta aaya hoon.
 read this  hadees sharif   for more information

Jis mahfil me durood shareef padha jae,us mahfil se ek Paakeeza khushbu uthti hai,aur aasman ki bulandiyon tak jaati hai.us khushbu ko mahsus karke aasmaan ke farishte kahta hain,ye khushbu kisi aisi mahfil se aai hai jahan habib e khuda sallallahu alaihi wasallam par durood shareef padha gaya hai.


faraez ke alawah agar koi wazifa padhna chahte ho to durood shareef padha karo. 



 darood sharif se bada koi wazifa hai hi nahi,har waqt durood padhte raha karo.rahmate Ilahi se raabta rahega.har musibat se tahaffuz rahega.qabr ke andhero me roshni hogi.munkirnakeer ke sawalon ke jawab dene ki himmat paida hogi.ghar me karobar me barkat hogi.lekin adab ke saath aur lazzat se padho.