मिलादुन्नबी صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ
Milad un Nabi
( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
Bismillah irrahman irraheem
Assalatu wassalamu alaika ya rasul Allah
Assalatu wassalamu alaika ya habib Allah
Assalatu wassalamu alaika ya nabi Allah
wa ala aleka wa ashabeka ya rasul Allah
suna hai aap har aashiq ke ghar tashreef late hain
mere ghar me bhi ho jaye chiragan ya rasulallah
Allah paak quran me farmata hai.(wama arsalnaka illa rahmatal lil aalemeen). Allah paak ne apne mahboob nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ko sare aalam ke liye rahmat bana kar bheja.
hadees
huzur sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya "sab se pahle jo chiz Allah ta'aala ne banayi wo mera noor hai."
sab se pahle Allah ne huzur ( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ke noor mubarak ko paida kiya.
Allah ta'ala ne noor e muhammadi sallallahu alaihi wasallam ko paida kiya to us waqt siwae Allah ta'ala ke kuch na tha. asman ,zameen, chand, suraj, sitare, pahad, ped, pawde, darya samandar garz ke kainat ki koi bhi chiz ka wajud nahi tha agar kuch tha to sirf aur sirf Allah ta'ala aur Noor e Muhammadi ( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) hi tha.
Aur riwayaton me hai ki ye noor barson baras tak Allah ki tasbeeh padhta raha. Allah ki ibadat me masruf raha. 2000 saal tak Allahu,Allahu kahta raha, 2000 saal tak Rahman Rahman padhta raha fir 2000 saal tak Raheem Raheem padhta raha ,Allah ta'ala ke naam,jo ki1000 hain har naam ko 2000 baras tak zikr karte huwe ibadat me masruf raha.
Allah ka ek naam qahhar hai jab noore muhammadi ne is naam ka zikr karna shuru kiya to badi haibat tari hui,gaur kiya ki is naam me har cheez ki hilakat hai. tab mare haibat ke noor paseena paseena ho gaya aur jo paseene ke qatre gire Allah ne us paseene se ambiya alaihissalam ki roohon ko paida kiya ,noor Allah ka zikr karta raha aur sath sath sab paigambar ki ruhen bhi Allah ka zikr karne lagi .
jab noor mubarak ism adal par pahuncha, yani Adal naam ka zikr karna shuru kiya to fir paseena nikalna shuru hua to Allah ne in paseene ke qatron se tamam musalmanon ki ruhon ko paida kiya. isi tarah noor mubarak se hi kainat ki har chiz ko Allah ta'ala ne apni hikmat se banaya jannat,dozakh,arsh,farsh,suraj chand sitare ,garz ki ek ya do aalam nahi balki Allah ne 18000 aalam apne mahboob ke noor mubarak se banaye.
Huzur ( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ka noor mubarak sab se pahle paida kiya gaya lekin aap ( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ko dunya me bashar ke libas me, (insan ke roop me) aakhri nabi ka darja diya gaya. jab ki sab se pahle paida kiye gae aur sab se aakhir dunya me bheje gaye. Akhri nabi hote hue bhi aap sab nabiyon ke sardar hain. sab ke imam hain.sab se aala maqam aap hi ka hai. asal me aap hi awwal nabi hain. jo qurb Allah se aap ko hasil hai wo aur kisi nabi ko nahi hasil hua hai.
Agar kisi ko ye shak ho ki,huzur to sab se aakhir me paida huwe hain,aur sab se awwal kaise ho sakte hain. Aur kainat ki har chiz aap se kaise ban sakti hai to is baat ko samazhne ke liye ek misaal se samjha ja sakta hai.
example:-
gaur karein ki pahle guthli zameen me bote hain,us se jhad nikalta hai,fir ped banta hai,fir daliyan nikalti hain fir patte nikalte hain,fir phool lagte hai fir phal lagta hai aur sab se akhir me guthli banti hai. sab se pahle guthli thi aur akhir me bhi guthli hi hai. sachhai ye hai ki jo kuch bhi bana guthli se hi bana. guthli bone ke baad jo kuch bhi dikhai diya (ped, dali,patte phool phal) sab ka asal guthli hi thi. agar guthli na hoti to phal bhi na hota.
Thik usi tarah agar muhammad sallallahu alaihi wasallam ka noor mubarak na hota to sara aalam bhi na hota Allah ta'ala ne noor e muhammadi sallallahu alaihi wasallam ko paida kiya fir is noor se sara aalam bana kar apni qudrat ko dikhaya. khulasa ye ki Muhammad na hote to kuch bhi na hota.
Jab noor e muhammadi( صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) se ambiya alaihissalam ke noor ko paida kiya gaya tab Allah ne farmaya "ae mere habib ke noor,in tamam ambiya ke noor par nazar daal" nazar daalte hi tamam nabiyon ke noor aise maand pad gaye jaise aftab ki roshni me sitare,tab sab paigambaron ne arz kiya Ilahi !ye kon hain,ki in ke noor ne hum sab ke noor ko chupa diya. Allah ta'ala ne farmaya .ye Muhammad ibn Abdullah sallallahu alaihi wasallam hain. Agar tum sab in par iman lao to mai tum sab ko paigambar banata hoon. sab paigambar kahne lage,"hum sab in par iman late hai aur in ki nabuwat par bhi iman late hain. Allah ta'ala ne farmaya,achha mai is par gawah hoon. ye baat quran se sabit hai. iski daleel quran ke 3rd parah ,surah Aale imran me hai.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box
Emoji